eid ul fitr namaz ka tarika
STEP 01 : Sab se pehle dil mein is tarah niyyat kare ke main eidul fitr ki 2 rakaat namaaz imaam ke peechhe Allah ke liye ada kar raha hun. Agar imaam ho to namaaz padhaane ki niyyat kare.
STEP 02 : Namaaz shuru karte waqt donon haath kaanon tak uthaaye aur “Allaahu akbar” kehte huwe haath baandh le. Phir sana padhe.
STEP 03 Jab sana padh chuke, to donon haath kaanon tak uthaaye aur “Allaahu akbar” kehte huwe donon haath neeche chhod de, phir doosri martaba donon haath kaanon tak uthaaye aur “Allaahu akbar” kehte huwe neeche chhod de, phir teesri martaba donon haath kaanon tak uthaaye aur “Allaahu akbar” kehte huwe donon haath baandh le.
STEP 04 : Phir imaam A’oozu billaah aur Bismillaah padhne ke baad buland aawaaz se sura-e-faatiha aur surah padhe aur muqtadi khaamoshi se sunein, phir ruku sajda kare, yeh ek rakaat huwi
STEP 05 : Jab doosri rakaat ke liye khade hon, to imaam Bismillaah padhne ke baad buland aawaaz se sura-e-faatiha aur surah padhe, muqtadi khaamoshi se sunein. Surah padhne ke baad “Allaahu akbar” kehte huwe donon haath kaanon tak uthaaye aur neeche chhod de, isi tarah doosri aur teesri martaba “Allaahu akbar” kehte huwe donon haath kaanon tak uthaaye aur neeche chhod de, phir chauthi martaba bagair haath uthaaye “Allaahu akbar” kehte huwe ruku mein chala jaaye, baqiya namaaz aam namaazon ki tarah mukammal kare aur dua maange.
STEP 06 : Namaaz aur dua ke baad imaam namaaziyon ki taraf munh kar ke khada ho jaaye aur pehla khutba padhe aur pehla Khutba mukammal hone ke baad kuch der kursi wagairah par baith jaaye phir khada ho kar doosra khutba padhe.
Note : 2 Khutbe is message ke aakhir me diya gaya.
Important masaail :
Eid ki namaaz ka waqt sooraj tulu’ hone (nikalne) ke 20 minute baad se shuru ho kar zawaal tak rehta hai, yaani zohar ki namaaz ka awwal waqt shuru hone ke 15 minute pehle tak rehta hai.[Shaami : 3/52, 53, Kitaabus Salaah, Baabul Eidain]
Eid ki namaaz aam namaazon ki tarah padhi jaati hai, farq sirf itna hai ke is mein 6 zaaid takbeerein kahna waajib hai, 3 takbeerein pehli rakaat mein sana ke baad kahi jaati hain aur 3 takbeerein doosri rakaat mein ruku se pehle kahi jaati hain.[Shaami : 3/45, 46, Kitaabus Salaah, Baabul Eidain]
Eid ki namaaz ke liye na azaan di jaaye aur na iqaamat kahi jaaye.[Fataawa hindiya : 1/59, Kitaabus Salaah, Baabul azaan]
Note : chaasht ki namaaz ka waqt sooraj tulu’ hone (nikalne) ke 20 minute baad se shuru ho kar Zohar ki namaaz ka awwal waqt shuru hone ke 15 minute pehle tak rehta hai.