salatul tasbeeh

salatul-tasbeeh

salatul tasbeeh,salatul tasbih,salatul tasbeeh namaz,salat tasbeeh,salatul tasbeeh ki namaz,salatul tasbeeh namaz ka tarika,salatul tasbeeh ka tarika,salatul tasbih padhne ka tarika,salatul tasbeeh ki namaz ka tarika,salatul tasbeeh namaz ki niyat,salatul tasbeeh dua,salatul tasbeeh namaz in hindi,salat tasbih,salatul tasbeeh namaz tarika

salatul tasbeeh Namaz Ka Tarika :

Is namaz mein humko  300 baar ye tasbeeh padhna hai

سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ وَ اللّهُ اَكْبَرُ

(subhan allahi wal hamdu lillahi wa lailaaha illallaahu wallahu akbar)

ye kaise aur kaha padhege uska tarika dekhiye.

Ye namaz nafal namaz hai, is ki niyat is tarah se kijiye
 Mein 4 rakat namaz nafal,salatul tasbeeh ki, waaste Allah ke, muh mera kaaba sharif ki taraf.

1. Allahu akbar kehkar haath baandh lijiye, ab sana padhiye.
sana ke baad 15 baar ye tasbeeh padhiye سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ وَ اللّهُ اَكْبَرُ (subhan allahi wal hamdu lillahi walai laaha illallaahu wallahu akbar).
iske baad Alhamd Sharif aur quran ki ek surah padhenge, phir 10 baar yahi tasbeeh padhenge aur Allahu akbar kehkar ruku mein chale jayenge,

2.Ruku ki tasbeeh padhne ke baad 10 baar upar batai tasbeeh padhenge,
phir ‘Sami allahuleman hamida’ kehkar ruku se khade ho jayenge aur 10 baar wahi tasbeeh padhenge,

3. Phir Allahu akbar kehkar sajda mein chale jayenge, sajda ki tasbeeh padhneke baad phir upar batai tasbeeh 10 baar padhenge
phir pahle sajde se Allahu akbar kehar uth jayenge, ab yaha 10 baar tasbeeh padhenge, aur Allahu akbar kehkar dusre sajda mein chale jayenge,
dusre sajda mein bhi sajda ki tasbeeh padhne ke baad 10 baar wahi tasbeeh padhenge, phir Allahu akbar kehte hue dusri rakat ke liye khade ho jayenge,

4.Ab alhamd sharif se pahle 15 baar tasbeeh padhenge. Isi tarah dusri rakat puri karenge,dusri rakat mein dusre sajda ke baad kaida mein (attahiyat) ke liye beth jaayenge aur attahiyaat padh kar teesri rakaat ke liye khade ho jayenge,

5.Teesri-chowti rakat bhi isi tarah puri karenge. Is tarah puri namaz mein kul 300 baar tasbeeh ho jayegi,

agar galti se kahi tasbeeh padhna bhool gaye, jese agar ruku mein tasbeeh padhna bhool gaye to ruku se khade hokar 20 baar tasbeeh padh lijiye.

Tasbeeh ko yaad rakhne ke liye ungli par mat giniye, balki aesa tarika nikaliye taaki dekhne waale ko ye na lage ki gin raha hai

Namaz Aaram se padhiye, aur tasbeeh ke pure lafz ada kijiye, jaldi-jaldi mein lafz galat ada ho sakte hain, Namaz ke baad
Allah se apne gunaho ki maafi maangiye.

salatul tasbeeh ki namaz in hadees

Hazrat Muhammad (sallallahu alaihi wa sallam) ne ek din apne chacha Hazrat Abbas (radi allahu anhu) Se Farmaya Ke
Aye Chacha, Kya Mein Aap Ki Khidmat Me Ek Qimti HADIYA[gift] Na Pesh Karu? Kya Me Aap Ke 10 KAAM Na Karu????? aur Wo Amal Esa He Ke Jis Se Allah Aap Ke Sare Gunah Maaf Farma Denge
1 Agle Sab Gunah
2 Pichle Sab Gunah
3 Purane Gunah
4 Naye Sab Gunah
5 Bhul Se Huwe Sab Gunah
6 Jan Bujh Kar Kiye Gaye Sab Gunah
7 Chote Gunah
8 Bade Gunah
9 Chup Kar Kiye Gaye Gunah
10 Sab Ke Samne Kiye Gaye Gunah Sab Ke Sab Gunah Allah IS Amal Se MAAF Farma Dega,
Phir Hazrat Muhammad (sallallahu alaihi wa sallam) ne pura namaz ka tarika bataya. Is Ke Baad AAP (sallallahu alaihi wa sallam) Ne Farmaya Ke, Chacha Agar Ho Sake To Rozana Ye Namaz Padhna Warna Hafta[week] Me Ek Martaba Ya Mahine Me Ek Martaba Ya Saal Me Ya (kam se kam) Zindagi Me Ek baar Zaroor Parhna
Ref.: Abu Dawood, Ibn e Maja

2.Hazrat Abu Hurairah رضيالله تعالى عنه se rivayat hai ki Rasooll Allah صلیاللہ تعالی علیہ وسلم ne farmaya
“Hamara Rab har Raat Aasman-e-Duniya ki taraf Nuzul farmata hai us waqtjab Raat ka aakhri tihayee hissa baqi rah jata hai aur farmata hai,
Kaun hai jo Mujhse Dua karta hai ki main uski Dua Qubul karu?
Kaun hai jo Mujhse Mangta hai kimain usey du?
Kaun hai jo Mujhse Bakhshish talabkarta hai ki main uski Bakshish karu?
Jo salatul tasbeeh  ki namaz padh kar dua maangta hai, besak uski dua qabool hotihai…

[ Sahih Bukhari, Vol 8, Book 75, No. 333 ]

salatul tasbeeh,salatul tasbih,salatul tasbeeh namaz,salat tasbeeh,salatul tasbeeh ki namaz,salatul tasbeeh namaz ka tarika,salatul tasbeeh ka tarika,salatul tasbih padhne ka tarika,salatul tasbeeh ki namaz ka tarika,salatul tasbeeh namaz ki niyat,salatul tasbeeh dua,salatul tasbeeh namaz in hindi,salat tasbih,salatul tasbeeh namaz tarika

Related Post

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *