Shab-E-Barat ki Fazilat
1. Sabse Pahle (Shabe bar’at) Ko Yaani 14th or 15th Shaban Ya 15 or 16 Shaban Ka Roza Rakhna hai, sirf 15th ka bhi rahsakte hai!
2. Shabe bar’at Shuru Hone Se pahle Yaani (14th shaban) ko Asar Ki Namaz ke baad Maghrib se pahle 40 Martaba Lahawla Wala Quwwata Illabillahil Aliyil Azeem padhe.
3. Shabe Bar’at Shuru hote hi Maghrib ki Namaz ke Baad Ghusul
kare ( Paani me 7 Adat Bair ke pattey dalkar pani garam kare) or usi paani se ghusul kare InshaAllah Saal bhar tak Jaadu se mahfooz Rahenge.
4. Maghrib ki Namaz ke Baad 3 Baar Surah Yaseen ki Tilawat kare or
. Dua kare (1.Rizq me barkat ke Iiye, 2. Umr me barkat ke kiye & 3. Jhannam se Azadi ke Iiye).
5. Raat me Fajr se pahle Qabristaan Jana Sunnat hai, apne
. Marhumeen ke Qabrau ki Ziyarat kare.
6. Or Raat bhar Nafil Namaze Ya phir Qaza Namaze padhiye, Ye Nafil se Zyada Zaruri hai
7. Zyada Waqt Ibadat Me Guzare or Tahajjud Zarur ada kare or /. Dua kare Tamam Musalmanau ke Iiye.
NAFIL NAMZEIN PADHEY ……JAISA KE
1.SALATHUL TASBEEH NAMAZ
2.SALATHUL TAUBA
3.SALATHUL HAJATH
4. UMRE QAZA etc..,
QURAN PADHEY AUR ALLAH KA ZIKR KAREY, DAROOD A SHAREEF KA VIRD RAKHEY AUR JYADA SE JYADA MAGFIRAT KI DUA KAREY
SHAB E BARAAT KE DIN ISS DUA KO JYADA SE JYADA PADHEY DUA……A
DUA – 1
Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-afwa, fafu anni
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
Tarjumah: Ya Allah tu maaf karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai isliye mujhe maaf farma
DUA – 2
Allaahumma ‘innee ‘a’oothu biridhaaka min sakhatika, wa bimu’aafaatika min ‘uqoobatika, wa ‘a’oothu bika minka, laa ‘uhsee thanaa’an ‘alayka, ‘Anta kamaa ‘athnayta ‘alaa nafsika
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِرِضَاكَ مِنْ سَخَطِكَ، وَبِمُعَافَاتِكَ مِنْ عُقُوبَتِكَ، وأَعُوذُ بِكَ مِنْكَ، لَا أُحْصِي ثَنَاءً عَلَيْكَ، أَنْتَ كَمَا أَثْنَيْتَ عَلَى نَفْسِكَ
Tarjumah: O Allah, I seek refuge with Your Pleasure from Your anger. I seek refuge in Your forgiveness from Your punishment. I seek refuge in You from You. I cannot count Your praises, You are as You have praised Yourself
“Shab e Barat” ke Ahadees
1. ALLAH SHABAN Ki 15wi Shab Me Tajjalli Farmata Hai Istaghfaar(Tauba) Karnewalo Ko Baksh Deta Hai
[Shobul-Imaan Hadees No:3835]
2. “JO KHAUFE KHUDA SE ROYEGA WO DOZAKH ME NA JAYEGA..AISE HI JAISE DOODH DOBARA APNE THAANO ME WAPAS NAHI JATA.”
(MUSLIM)
3. “HUZOOR (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) RAMZAN KE BAAD SAB SE ZYADA SHABAN KE ROZE RAKHA KARTE THE.”
(TIRMIZI)
4.“SHABAN KI FAZILAT (BADHAI) TAMAM MAHINO PAR AISI HAI JAISE TAMAM NABIYO PAR MERI FAZILAT
(TIRMIZI SHARIF)
5.“SHAABAN KA MAHINA BANDO KE GUNAH DOOR KARTA HAI..
AUR RAMZAN BILKUL PAK KAR DENE WALA HAI.”
(TIRMIZI)
6.KHAUFE KHUDA SE NIKLE AANSHU KA WAZAN MIZANE AMAL ME “UHAD PAHAAD” KE BARABAR HOGA.
(MISHKAT SHARIF)
7.“HAZRATE AISHA KA BAYAN HAI: HUZOOR SHABAN KI 15vi RAAT (SHABE BARAAT) ME AADHI RAAT KO QABRASTAN TASHRIF LE JATE”
(BEHAQI)
8.“SHABAN KI 15vi RAAT ME ALLAH TAA’LA ISTHGAFAR KARNE WALE KI MAGFIRAT FARMA DETA HAI..TAALIB-E-RAHMAT PAR RAHAM FARMATA HAI.”
(ATTARGIB WATTARHIB)
9. SHABAN KE MAHINE ME ALLAH TA’ALA RAHMAT KE 300 DARWAZE KHOL DETA HE
(NUZHATUL MAJAALIS)
10.“ALLAH TA’LA SHABAN KI 15vi RAAT KO APNI KHAAS RAHMATO KA NUZOOL FARMATA HAI.”
(TAFSIR-E-RUHUL BAYAN Jild-13 Safa-295)